Home | About Us | Our Mission | Downloads | Contact Us |  
| Guest | Register Now
 
SERVICES
History of Jainism
Jain Ascetics
Jain Lectures
Jain Books/Litrature
24 Jain Tirthankars
Shalaka Purush
Jain Acharyas
Puja Sangrah
Vidhan
Jinvani Sangrah
Tithi Darpan
Jain Bhajan
Jain Video
Mother's 16 Dreams
Vidhan Mandal & Yantra
Wallpapers
Jain Manuscripts
Jain Symbols
Digamber Jain Teerths
Committee
Bidding
Virginia Jain Temple
 
DOWNLOADS
Books
Chaturmas List
Jain Calendar
Choughariya
Puja Paddhati
Subscribe For Newsletter
 
 
 
 
 
Dev Shastra Guru Puja

Keval ravi kiranon se jiska, Sampoorn prakashit hai antar
Ous shri jinwani men hota, Tattvon ka sundertam darshan
Saddarshan bodh charan path par, Aviral jo barhate hain muni gan
Oun dev param aagam guru ko, Shat shat vandan shat shat vandan

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Atra Avtara Avtara Iti Avhananam
Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Atra Tishtha Tishtha Thah Thah Iti Sthapanam
Om Hrim Shri Dev Shastra GurubhyahAtra Mam Sannihito Bhav Bhav Vashat Iti Sannidhikarnam

Indriya ke bhog madhur vish sam, Lavanya mayee kanchan kaya
Yah sab kuch jad ki krida hai, Mein aba tak jaan nahin paaya
Mein bhool swayam ke vaibhav ko, Par mamta men atkayaa hoon
Aba nirmal samyak neer liye, Mithya mal dhone aaya hoon

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Janma Jaraa Mrityu Vinashnaay Jalam Nirvapameeti Swaaha

Jada chetan ki sab parinati prabhu, Apne apne mein hoti hai
Anukool kahen pratikool kahen, Yah jhuthee man ki vritty hai
Pratikool sanyogon men krodhit, Hoker sansar barhaya hai
Santapt hriday prabhu chandan sam, Sheetalata paane aaya hai

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Sansar taap Vinashnaay Chandanam Nirvapameeti Swaaha

Ujjwal hoon kund dhawal hoon prabhu, Par se na lagaa hoon kinchit bhee
Phir bhee anukool lagen oun par, Karata abhimaan nirantar hee
Jad par jhuk jhuk jaata chetan, Ki mardav ki khandit kayaa
Nij shasvat akshat nidhi pane, Aba daas charan raj men aaya

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Akshaya pad Praptaye Akshatam Nirvapameeti Swaaha

Yaha pushp sukomal kitana hai, Tan men maya kuch shesh nahin
Nij antar ka prabhu bhed kahoon, Ous men rijuta ka lesh nahin
Chintan kuch phir sambhashan kuch, Vritti kuch ki kuch hoti hai
Sthirata nij men prabhu paoun jo, Antar ka kaalush dhoti hai

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Kaam Baan Vidhvansanaay Pushpam Nirvapameeti Swaaha

Aba tak aganit jad dravyon se, Prabhu bhookh na meri shant hui
Trishna ki khaai khoob bhari, Par rikt rahee vaha rikt rahee
Yug yug se ichha sagar men, Prabhu ! gote khata aaya hoon
Charanon men vyanjan arpit kar, Anupam ras peene aaya hoon

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Kshudha Rog Vinashnaay Naivedyam Nirvapameeti Swaaha

Mere chaityanya sadan men prabhu! Chir vyapt bhayankar andhiyaara
Shrut deep bujha hai karunanidhi, Beeti nahin kashton ki kaara
Ataev prabho! yah gyan prateek, Samarpit karane aaya hoon
Teri antar lao se nij antar, Deep jalaane aaya hoon.

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Mohandhakaar Vinashnaay Deepam Nirvapameeti Swaaha

Jad karma ghumaata hai mujhako, Yah mithya bhranti rahee meri
Mein raagee dweshi ho leta, Jab parinati hoti hai jad ki
Yon bhav karam ya bhav maran, Sadion se karata aaya hoon
Nij anupam gandh anal se prabhu, Par gandh jalaane aaya hoon

Om Hrim Shri Dev Shastra GurubhyahAshta Karma dahanaay Dhoopam Nirvapameeti Swaaha

Jag men jisko nij kahta mein, Vah chhod mujhe chal deta hai
Mein aakul vyaakul ho leta, Vyaakul ka phal vyaakulata hai
Mein shant niraakul chetan hoon, Hai muktirama sachari meri
Yah moh tadak kar toot pade, Prabhu sarthak phal pooja teri

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Moksh Phal Praaptaye Phalam Nirvapameeti Swaaha

Kshan bhar nij ras ko pee chetan, Mithyamal ko dho deta hai
Kaashayik bhaav vinasht kiye, Nij aanand amrit peeta hai
Anupam sukh tab vilasit hota, Keval ravi jagmag kartaa hai
Darshan bal poorn pragat hota, Yah hi arhant avasthaa hai
Yah arghya samarpan karke prabhu, Nij gun ka arghya banaaungaa
Aur nischit tere sadrish prabhu, Arhant avasthaa paaungaa

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyah Anarghyapad Praaptaye Arghyam Nirvapameeti Swaaha

Jaimaala

Bhav van men jee bhar ghoom chukaa, Kan kan ko jee bhar bhar dekha.
Mrig sam mrig trishna ke peechhe, Mujhko na mily such ki rekha.

Jhunthe jag ke sapne saare, Jhunthee mun ki sab aashayen.
Tan jivan yaovan asthir hai, Kshan bhangur pal men murjhayen.

Samrat mahabal senani, Ous kshan ko ial sakega kyaa.
Asharan mrit kaaya men harshit, Nij jivan dal sakega kyaa.

Sansar mahaa dukh saagar ke, Prabhu dukhmay such aabhason men.
Mujhko na milaa such kshanbhar bhi, Kanchan kaamini praasadon men.

Mein ekaki ekatva liye, Ekatva liye sab hi aate.
Tan dhan ko saathi samjha thaa, Par ye bhi chhod chale jaate.

Mere na huye ye mein inse, Ati bhinna akhand niraala hoon.
Nij men par se anyatva liye, Nij samras peene waala hoon.

Jiske shringaaron men meraa, Yah mahanga jivan ghul jaata.
Atyanta ashuchi jad kaaya se, Isa chetan ka kaisaa naata.

Din raat shubhashubh bhaavon se, Mera vyapar chalaa kartaa.
Maanas vaani aur kaaya se, Aasrav ka dwaar khula rahta.

Shubh aur ashubh ki jwala se, jhulasaa hai mera antasthal.
Sheetal samkit kirane footen, Sanvar se jaage antarbal.

Phir tap ki shodhak vanhi jage, Karmon ki kadiyan iooi paden.
Sarvaang nijaatm pradeshon se, Amrit ke nirjhar phoot paden.

Hum chhod chalen yah lok tabhi, Lokaant viraajen kshan men jaa.
Nij lok hamaara vaasa ho, Shokaant banen phir hamko kya.

Jaage mum durlabh bodhi prabho, Durnaytam satvar tal jaave.
Bas gyaata drishta rah jaaoun, Mad matsar moh vinash jaave.

Chir rakshak dharma hamaara ho, Ho dharma hamaara chir saathi.
Jag men na hamaara koi thaa, Hum bhi na rahen jag ke saathi.

Charanon men aaya hoon prabhuvar, Sheetaltaa mujhako mil jaave.
Murjhaai gyanlataa meri, Nij antarbal se khil jaave.

Socha kartaa hoon bhogon se, Bujh jaavegi ichchhaa jwaala.
Parinaam nikaltaa hai lekin, Maano paavak men ghee daala.

Tere charanon ki pooja se, Indriya sukh ko hi abhilaasha.
Aba tak na samajh hi paaya prabhu, Sachche such ki bhee paribhaasha.

Tum to avikaari ho prabhuvar, Jag men rahte jag se nyaare.
Ataeve jhuke tav charanon men, Jag ke maanik moti saare.

Syadvaad mayee teri vaani, Shubh naya ke jharne jharte hain.
Ous paavan naokaa per laakhon, Praani bhav vaaridhi tirte hain.

Hei guruvar shashvat sukh darshak, Yah nagna swaroop tumhaara hai.
Jag ki nashvartaa kaa sachchaa, Digdarshan karne vaala hai.

Jab jag vishayon men rach pach kar, Gaafil nidraa men sotaa ho.
Athavaa vah shiv ke nishkantak, Path men vishkantak botaa ho.

Ho ardh nishaa ka sannaata, Van men vanchaari charte hon.
Tab shaant niraakul maanas tum, Tattvon ka chintan karte ho.

Karte tapa shail nadee tat par, Tarutal varshaa ki jhadiyon men.
Samtaa ras paan kiyaa karte, Sukh dukh donon ki ghadiyon men.

Antarjwaala hartee vaani, Maanon jhartee hon phuljhadiyan.
Bhav bandhan tad tad toot paden, Khil jaaven antar ki kaliyan.

Tum saa daani kyaa koi ho, Jag ko de dee jag ki nidhiyaan.
Din raat lutaaya karte ho, Sam sham ki avinashver maniyaan.

Om Hrim Shri Dev Shastra Gurubhyo Anarghya Pad Praaptaye Mahaarghyam Nirvapameeti Swaaha.

Hey nirmal dev tumhen pranaam, Hey gyandeep aagam pranaam.
Hey shaanti tyaag ke moortimaan, Shiv path panthi guruver pranaam.

Iti Pushpaanjalim Kshipet.

OUR SERVICES